Nusrat Fateh Ali Khan in Urdu |
Nusrat Fateh Ali Khan ki Taleem:Nusrat Fateh Ali Khan ke walid inhein doctor banana chahte the magar qudrat ko kuch aur manzoor tha, wohparhayi mein kamzor hi nahi, baqaidah nalaiq the. Class teacher jab bhi inhein zor dar aawaz se pukarte to yeh rona shuru kar dete doston ke israr par batate ke agar mar khane ke baad hi rona hai to aise rone se kia haisil……… ?
Nusrat Fateh Ali Khan ki Maasumyat: Nusrat Fateh Ali Khan ka maasumyat ka aalam yeh tha keh dost inhein ghanta ghar ka mashhoor murgh pulao khilane le jate aur khood kha kar wahan se khisak jate the jabkeh bil ki adaigi ke liye Nusrat ko dhar lia jata, woh bhi kia bhale zamane tha. Nusrat Fateh Ali Khan ki Mosiqi Taleem: Nusrat Fateh Ali Khan ke walda in ki parhayi se mayus the aur inhein yeh bhi guman tha keh Nusrat Fateh Ali Khan ki aawaz aisi nahi keh woh bare gaik bn sakehin. Lehaza inhon ne Nusrat Fateh Ali Khan ko tble ki taleem deni shuru ki takeh guzar auqaat ho sake lekin walda ka israr raha keh inhein degar saaz bhi sikhaye jayein. Nusrat Fateh Ali Khan ki funny taleem abhi mokammal na ho payi thi keh 1964 mein in ke walid inteqaal kar gaye. 16 salah Nusrat Fateh Ali Khan ko in ke taya Mubarak Ali Khan ne mosiqi ki taleem deni shuru ki, woh kayi kayi ghante reyaaz karate the aur 1971 mein inhein apne sath bitha kar baqaidah qawali ka silsilah bhi shuru kar dia. April 1974 mein taya bhi wafat pa gaye to Nusrat Fateh Ali Khan ne apne chacha zaad bhayi Mujahid Mubarak Ali Khan ke sath mil kar nayi qawali party banayi aur apni zindagi ke naye safar ka aaghaz kar dia. Walid aur taya ki wafat ke baad sare gharane ka bojh Nusrat Fateh Ali Khan ke natawan kandhon par par gia. Yeh woh dor tha jab inhon ne door daraz ke ilaqom mein buzurgon ke mazaron par qawali shuru ki, tange hatta keh bail gari par bath kar har choti bari mehfil mein jane lage. Nusrat Fateh Ali Khan ne rawaiti qawali mein bhi classical ka rang shamil kar dia. Nusrat Fateh Ali Khan ki Pehli Recording: 1975 mein faisal abad ki maroof recording company Rehmat Gramophone Company ne Nusrat Fateh Ali Khan ki qawalion par mushtamil album release ki jis ne shohrat ke darwaze in par khol diye, phir cha so chal. Nusrat Fateh Ali Khan ke fun e mosiqi ne sarhadein aboor ki to London ki aik recording company ke malik Muhammad Ayub ne kaha yeh to koi ruhani aawaz hai. Bas phir kia tha, Nusrat Fateh Ali Khan ke naye album “Fi Mein Janan Jogi De Naal” ne dhoom machadi. Udhar India ke mashhoor adakar Raaj Kapoor jo Nusrat Fateh Ali Khan ke walid Fatah Ali Khan aur taya Mubarak Ali Khan ke barey maddah the inhon ne bhi Nusrat Fateh Ali Khan ko suna to adakar Muhammad Ali ke zariye inhein apne bĂȘte Rashi Kapoor ki shadi par bula lia. Nusrat Fateh Ali Khan India punche to Kapoor khandan ki mehfil e mosiqi mein wahan ki film industry ke tamam numayan chehre mojood the. Nusrat Fateh Ali Khan ke arifanah o sufyanah kalam ne inhein bhi apna dewanah bana lia. In ki shandar parformence se bharat mein mosiqi aur fun qawali mein in ke charche hone lage nobat yahan tak punhchi keh wahan ke kayi funkaron ne inhein copy karna shuru kar dia bal keh baaz ne to in ke sangeet ki thori buhat rad o badal ke sath naqali shuru kar di, baad mein Nusrat Fateh Ali Khan ne kayi hidustani filmon ka music compose kia aur geet bhi gaye. Fateh Ali Khan ko Ameer Khusru ka Ruhani Shagird Kaha ja Skta hai: Fateh Ali Khan ko Ameer Khusru ka ruhani shagird kaha ja skta hai, jinhon ne tblah aur sarangi jaise saz ejaad kiye Fateh Ali Khan ko inhi sazon par aboor hasil tha. Aik interview mein Fateh Ali Khan ne kaha tha “Mujhe in sazon se ruhani taskeen aur qalbi sakoon milta hai” bila shubah Fateh Ali Khan ki awaz mein mojood taqat aur shaistagi ne inhein kamal fun tak puncha dia jo inehin amar kar gia. Fateh Ali Khan khush qismat funkar the, jin ke audio, video cassette aur CD , DVD mein woh sab mehfooz hai, jise inhon ne apni zindagi mein gaya , is se aane wali naslein bhi mustafeed hoti rahein gi. Fateh Ali Khan ke Radio, TV programon ke elawa 125 se zaid audio cassette poori dunya mein suni ja rahi hai, is liye keh inhon ne mosiqi ki marwajah dagar se hat kar kaam kia. Ragon aur Ragni ko jaise chaha istemaal kia, apne har geet mein yakdam kisi raag ka alap aur phir wahin par palat aana inhi ka khasa tha. Inhon ne munfarid tarz ke sargam ga kar khood ko manwaya aur sabit kia keh Fateh Ali Khan ko har sanaf mosiqi par oboor hasil hai aaj mosiqi bhi Fateh Ali Khan par naaz karti hai. Bharat aur Maghrabi Mamalik Mein Nusrat Fatah Ali Khan ki Sangeet: Bharat mein apne fun ke jhande garne ke baad Fateh Ali Khan ne Imran Khan ke Shokat Khanam Cancer Hospital ke liye Pakistan aur phir dunya bhar mein be shumar show kiye aur kabhi muawzah na lia. Fateh Ali Khan ne Peter Gabriel's ke sath mil kar jab maghrabi o mashraqi ka haseen sangam banaya to dunya ash ash kar uthi. Saheban fun ka kehna hai keh mosiqi lasanyat ki mohtaj nahi, is ki apni zuban hai. Is ka amli sabot is waqt samne aaya, jab “Dam Mast Qlandar Mast Mast” par Europi bashinde bhi jhoomne lage. Mashraqi mosiqi ko jadeed ke sath dil aawez shakal dena…………. Nusrat Fateh Ali Khan ka mosiqi par aik bara ahsan hai. Nusrat Fateh Ali Khan ki aawaz mein aik khas qisam ki hook thi, jo dilon ko garmati aur tarpati thi. Qissah mukhtasar yeh keh Nusrat Fateh Ali Khan America se doctorate in music” ki Ezazi digree hasil ki aur wahan ki music university mein mosiqi ki taleem bhi dete rahe. Sur aur tal ki dunya mein Nusrat Fatah Ali ne yeh moqam apni jaan jo kham mein daal kar hasil kia. Dunya janti hai keh woh arsah daraz se gurdon ke aarze mein mubtila the lekin is jan lewa bimari se larte rahe aur apne chahne walon ke liye gate rahe, bala aakhir jab woh apne gurde tabdeel karane ke liye azam America hoye to London ke aarzi qayam ne in ki zindagi ka safar tamam kar dia aur woh 16 August 1997 ko apne khaliq haqiqi se ja mile. Khuda in ke darjaat buland kare keh woh mosiqi mein buland moqam hasil karne ke bawajood bhi aik sufi the. Meri zati raye hai keh mosiqi ki dunya mein Nusrat Fateh Ali Khan kal bhi baray the, aaj bhi bare hai aur tab tak bara aadmi rahe ga, jab tak koi maan doosre Nusrat Fateh Ali Khan ko janam nahi deti. Nusrat Fateh Ali Khan ka shumar in logon mein hota hai jin ki kahani in ki mot ke baad bhi khatam nahi hoti. Is funkar gharane ki darakhshan dastan hamein ab bhi Rahat Fatah Ali Khan aur in ke cussin Rizwan Muazzam Ali Khan ki surat mein dikhayi aur sunayi de rahi hai. |
History Of Nusrat Fateh Ali khan in Urdu
in
History
- on 22:46:00
- No comments
Post a Comment